Saturday 26 May 2012

Kurbaan.

Dua hai meri, har rooh ik jism ko.
Dua hai meri, wajahat do iss shaqs ko.

Yaadein hai unki, laachar gawaah huin.
Yaadein hai jiski, unke gunaah par sartaaj huin.

Unke kalme ke dum par, zinda laash huin.
Unke karm ke aks par, aaj huin.

Gumnaam hai koe, mohabbat ke qaabil nahi.
Gumnaam hai jo, qabool hai uski nafrat sahi.

Rehmat khuda ki, din-e-bahaar thi.
Rehmat khuda jo, raat mein bhi veraan thi.

Inn janzeeron ki main, mehmaan huin.
Inn janzeeron ko main, phek badnaam huin.

Kabool hai mujhko, har saza har ashiyaana.
Kabool hai mujhpar, har daga, unka fiqrana.

Qayamat ke woh, ghalib hi sahi.
Qayamant pe woh, kurbaan har kahien.

Siqaalat mein azaad, hazaaron tukre huin.
Siqaalat se azaad, wajid mein mast huin.

PS. That's the best I can do at 3.35am.

Meanings of some certain words?

Rooh - soul
Wajaahat - respect/dignity/beauty
Gawaah - witness
Gunaah - sin
Sartaaj - one with a crown..or rather, a crown itself
Kalme - word of god
Karm - deed
Aks - hatred
Gumnaam - anonymous
Rehmat - compassion
Janzeeron - chains
Aashiyaana - (here) a house made up of glass
Daga - to deceive
Qayamat - Judgement day
Ghalib - dominant/victorious
Siqaalat - burden
Wajid - creator

0 comments:

Post a Comment